Father day poetry in urdu 2 lines copy paste text
Father day poetry in urduiss post mai ak haseen aur achy andaz mai majood hai. father ka din duniya mein aik khushi ka mauqa hai jab hum apne pyare walid ko unki mehnat aur muhabbat ka atraf karte hain.Father day poetry in urdu text mein aur sms language dono mai ak khubsurt andaz mai farahm ki gai hai.aur iss baT ki wazahat ki gai hai k walid ka hamari zindagi mai kya ahem kirdar hota hai.
بہت بے چین رہتا ہوں تمھیں یاد کرتا ہوں
کاش کے لوٹ آؤ بابا میں تم سے پیار کرتا ہوں
“Bohat bechain rehta hoon, tumhein yaad karta hoon
Kash k lot aao baba mai tum sy payar karta hoon”
میں نہیں جانتا بادشاہ کیسا ہوتا ہے
میرے خیال میں میرے باپ جیسا ہوتا ہے
Main nhi janta badsha kasa hota hai
mery khayal mein mere bap jaisa hota hai,
ممکن ہوتا اگر کسی کو عمرلگانا
تو میں اپنی ہرسانس اپنے بابا کے نام لکھتا
Mumkin hota agar kisi ko umr lagaana.
To main apni har sans apne baba ke naam likhta
مجھ کو چھاوں میں رکھا اور خود جلتا رہا دھوپ میں
میں نے دیکھا اِک فرِشتہ باپ کے روپ میں
Mujh ko chhaon mein rakha aur khud jalta raha dhoop mein.
Main ne dekha ek farishta baba ke roop mein,
میرے بغیر تھے سب خواب اسکے ویراں سے
یہ بات سچ ہے میرا باپ کم نہ تھا ماں سے
Mere baghair thay sab khwaab us ke veeran se.
Yeh baat sach hai, mera bap kam nahin tha maan se.
Father poetry in urdu copy paste
باپ اور بیٹی میں ایک چیز مشترکہ ہوتی ہے
دونوں کو اپنی گڑیاسے بہت پیار ہوتاہے
Bap aur beti mein aik cheez muztarik hoti hai,
Dono ko apni gudiya se bohat pyaar hota hai.
بیٹی باپ کی آنکھوں میں چھپے خواب کو پہچانتی ہے
اور کوئی دوسرا اس خواب کو پڑھ لے تو برا مانتی ہے
Beti bap ki aankhon mein chhupay khwaab ko pehchaanti hai,
Aur koi doosra us khwaab ko parh le to bura maanti hai.
وہ جو گڑیا ہے نہ اپنے بابا کی
لوگوں نے اس کو کھلونا بنا رکھا ہے
Woh jo guriya hai, nah apne baba ki,
Logon ne us ko khilona bana rakha hai.
یہ جو شہزادی لینے آتے ہیں نہ
کیسے سمجھیں گے بادشاہ کا دکھ
Ja jo shazadi lene aty hain na
kasy samajy gay badsha ka dukh
بیٹے باپ کی زمین بانٹتے ہیں
اور بیٹی باپ کے دکھ
Bete bap ki zameen baantte hain,
Aur beti bap ke dukh.
جو مانگوں دے دیا کر اے زندگی
کبھی تو میرے بابا جیسا بن کے دکھا
Jo maango de dia kar ae zindagi,
Kabhi to mere baba jaisa ban ke dikha.
lines for father in urdu
اُن کے سائے میں بخت ہوتے ہیں
باپ گھر میں درخت ہوتے ہیں
Un ke saaye mein bakht hote hain,
Bap ghar mein darakht hote hain.
گھر جا کے چپکے سے بچوں کو کھلایا ہو گا
اُن کو کیا معلوم کہ کِس حال میں کمایا ہوگا
Ghar jaake chipke se bachon ko khilaya hoga,
Un ko kya maloom ke kis haal mein kamaaya hoga.
بوجھ اینٹوں کا اور بڑھا دو صاحب
میرے بچے نے آج اِک فرمائش کی ہے
Bojh aintoon ka aur bara do sahib,
Mere bachay ne aaj ek farmayish ki hai.
کندھوں پہ میرے جب بوجھ بڑھ جاتے ہیں
میرے بابا مُجھے شِدت سے یاد آتے ہیں
Kandhon pe mere jab bojh barh jaate hain,
Mere baba mujhe shadeed yaad aate hain.”
The website is built my the best digital marketing agency scale me
جو باپ کی ٹھنڈی چھاوں میں گُزرے تھے
زِندگی کے وہی پَل اَنمول تھے
“Jo baap ki thandi chhaon mein guzre thay,
Zindagi ke wohi pal anmol thay.
وہ لہو بچ کر میری خواہشیں خرید لاتا ہے
باپ اتنے احسان کیسے کر جاتا ہے
Woh lahu bach kar meri khwahishen khareed laata hai,
Baap itne ehsaan kaise kar jaata hai.
Father day poetry in urdu 2 lines
جب تک ہاتھ میں ہاتھ تھا سب سہی تھا
باقی بہت مشکل سفر ہے بابا
Jab tak haath mein haath tha, sab sahi tha,
Baaki bohat mushkil safar hai baba.
باپ کا ہاتھ پکڑنا سیکھو عمر بھر
کسی کے پاؤں پڑنے کی نوبت نہیں آۓ گی
Baap ka haath pakarna seekho umar bhar,
Kisi ke paon parnay ki nobat nahi aayegi.
اس دنیا میں آپ کا باپ وہ واحد شخص ہے
جو چاہتا ہے کہ آپ اس سے بھی زیادہ کامیاب بنو
Is duniya mein aap ka baap woh waahid shakhs hai,
Jo chahta hai ke aap is se bhi zyada kamyab bano.
ماں باپ کا کوئی دن نہیں ہوتا
بلکہ ماں باپ سے ہی تو ہر دن ہوتا ہے
Maan baap ka koi din nahi hota,
Balkay maan baap se hi to har din hota hai.
گھر کی اس بار مکمل میں تلاشی لوں گا
غم چھپا کر مرے ماں باپ کہاں رکھتے تھے
Ghar ki is baar mukammal mein talashi loonga,
Gham chhupa kar mere maan baap kahan rakhtay thay.
https://urdughar.pk/teacher-day-poetry-in-urdu/
رب کے بعد یہ سہولت صرف باپ دیتا ہے مرشد۔۔
خطائیں دیکھ کر نہ رزق روکتا ہے ،نہ محبت چھوڑ تا ہے
Rab ke baad yeh sahulat sirf baap deta hai murshid…
Khatain dekh kar na rokta hai, na mohabbat chhodta hai.
میرے سر پر باپ کا سایہ ایسا تھا
جیسے شجر کے نیچے گنی چھاؤں۔۔
Mere sar par baap ka saaya aisa tha,
Jaise shajar ke neeche ghani chaon.
Shayari on father in urdu
درد کبھی نا دینا اس خالق تصویر کو
جس کو سارا، زمانہ باپ کہتے ہے
Dard kabhi na dena is Khaliq tasveer ko,
Jisko saara zamana baap kehta hai.
باپ کی دولت نہیں چاہیئے
بس سایہ ہی کافی ہوتا ہے
Baap ki daulat nahi chahiye,
Bas saaya hi kaafi hota hai.
یتیمی ساتھ لاتی ہے سارے کے سارے دکھ
لیکن اگر باپ زندہ ہو تو کانٹا بھی نہیں چبتا
Yateemi saath lati hai saare ke saare dukh,
Lekin agar baap zinda ho to kaanta bhi nahi chubhta.
تیرے غصے کو بھی ترس گیا ہوں بابا
اپنے شہزادہ کو کچھ تو سناؤ بابا
Tere ghuse ko bhi tars gaya hoon baba,
Apne shahzada ko kuch to sunao baba.
محبت اسے کہتے ہیں مرشد
جو ماں باپ ہم سے کرتے ہیں
Mohabbat ise kehte hain murshid,
Jo maan baap hum se karte hain.
باپ اولاد کے لیے ڈھال ہے جو
کبھی اپنی اولاد سے غافل نہیں ہوتا
Baap aulad ke liye daal hai jo,
Kabhi apni aulad se ghafil nahi hota.”
https://urdughar.pk/short-poetry-in-urdu/
One Comment