“Hamari website apke liye ek qeemti khazana hai jahan aap Urdu mein Islamic poetry ak khoobsurt andaz mai read kar sakte hain. Islamic poetry in urdu k mutalliq ahem maloomat aur rohani tasalli milti hai jo aapki roohaniyat ko tarraqqi dene mein madad faraham karti hain. Hamari anokhi website par aayen aur apni roohani talash ko aur bhi khushiyon aur behtari banayen.”Aur dosaro mai share bi karin.
وہ عشق نماز سکھا مجھ کو یارب۔۔
جس نماز میں صرف توں ملے مجھ کو
Wo ishq namaz sikha mujhko Ya Rabb
Jis namaaz mein sirf tu mile mujhko
اس کے در پر سکون ملتا ہے اس کی عبادت سے نور ملتا ہے
جو جھک گیا اللہ کے سجدے میں اسے کچھ نہ کچھ ضرور ملتا ہے
“Is ke dar par sukoon milta hai is ki ibadat se noor milta hai
Jo jhuk gaya Allah ke sajde mein, use kuch na kuch zaroor milta hai
اور جو چیزیں تہجد میں بھی مانگنے سے نہ ملیں
تو سمجھ جاؤ وہ تمہارے لیے بہتر نہیں۔
“Aur jo cheezen tahajjud mein bhi maangne se na mily
To samajh jao woh tumhare liye behtar nahin
وفی انفسکم افلا تبصر ون “
میں تمہارے اندر ہوں تم کیوں نہیں دیکھتے
“Wa fee anfusikum afala tubsiroon.”
“Main tumhare andar hoon, tum kyun nahin dekhte
جنہیں یقین ہو مقدر لکھنے والے پہ
وہ انجام سے گھبرایا نہیں کرتے
“Jinhain yaqeen ho muqaddar likhne wale par
Woh anjaam se ghabraya nahi karte
https://urdughar.pk/sad-death-poetry-in-urdu/
Best islamic poetry in urdu
اور خدا اپنے بندے کو بکھرنے سے
پہلے ہی سنبھال لیتا ہے…..
“Aur Khuda apne bande ko bikharne se
Pehle hi sambhal leta hai
دل کے اطمینان کے لیے اتنا ہی کافی ہے کہ
جو بھی ہوتا ہے اللہ کی رضا سے ہوتا ہے
“Dil ke itminan ke liye itna hi kafi hai ke
Jo bhi hota hai Allah ki raza se hota hai
کبھی کبھی خداوہ چیز بھی نوازتا ہے۔۔۔
جس کو پانے کا گمان تک نہیں کیا ہوتا
“Kabhi kabhi Khuda woh cheez bhi nawazta hai
Jis ko paane ka gumaan tak nahin kiya hota
ارے صاحب، جانتے ہو دعا کیا ہے ؟؟؟
اپنا سب کچھ اللہ کے حوالے کر کے بے فکر ہو جانا
“Aray sahib, jante ho dua kya hai 😊
Apna sab kuch Allah ke hawalay kar ke be fikr ho jana
صبر کرنا اتنا آسان ہوتا تو۔۔۔!!
اللہ نے صبر پر اتنا اجر نہ رکھا ہوتا
“Sabr karna itna aasan hota to
Allah ne sabr par itna ajr nah rakha hota
محبت کو برا نہ کہو جناب !!!
یہ تو رب سے ملوادیتی ہے
“Muhabbat ko bura na kaho janab
Ye to Rab se milwadati hai
رب واقف ہے تمہارے دل کی تڑپ سے
وہ ضائع نہ کرے گادعائیں ذرا انتظار کر
“Rab waqif hai tumhare dil ki tarap se
woh zaya nah karega duaen Zara intezar kar
Best islamic poetry in urdu text
کوئی بھی بد نصیب نہیں ہوتا
بس ہر اک کا نصیب مختلف ہوتا ہے
“Koi bhi badnaseeb nahin hota
Bas har ek ka naseeb mukhtalif hota hai
مجھے اس کے سامنے بولنا بہت زیادہ پسند ہے
کیوں کہ میرا رب مجھے بڑے غور سے سنتا ہے
“Mujhe is ke samne bolna bohat zyada pasand hai
Kyunki mera Rab mujhe bade ghor se sunta hai
وہ بس آزماتا ہے کہ میرا بندہ میری محبت
کے لیے صبر کی کس حد تک جا سکتا ہے
“Wo bas azmata hai ke mera banda meri mohabbat
ke liye sabr ki kis had tak ja sakta hai.”
جب خدا کی مصلحتیں سمجھ آجائیں
نا صاحب ! ! تو دل ضد چھوڑ دیتا ہے
“Jab Khuda ki maslihaten samajh aa jayen
Na sahib! To dil zad chhod deta hai.”
اللہ نے جتنا سکون نماز میں رکھا ہے
اتنا سکون اور کسی چیز میں نہیں رکھا
“Allah ne jitna sakoon namaz mein rakha hai,
utna sukoon kisi cheez mein nahin rakha.”
بہترین ہے وہ راستہ جس کی منزل
اللہ تعالی کی طرف لے جائے
“Behtareen hai woh raasta jis ki manzil
Allah Ta’ala ki taraf le jaaye.”
ساری دنیا کا سکون ایک طرف اور ۔۔۔
اللہ سے بات کرنے کا سکون ایک طرف
“Sari duniya ka sukoon ek taraf aur…
Allah se baat karne ka sukoon ek taraf.”
Emotional islamic poetry in urdu text
اگر اللہ دیر کر رہا ہے دینے میں
تو اسے تمہارا مانگنا پسند آگیا ہے
“Agar Allah der kar raha hai dene mein
To use tumhara maangna pasand aa gaya hai
لہجہ دھیما رکھیے صاحب۔۔۔ !!!!
مجھے اونچی آواز میں بس اذان پسند ہے
Lahja dheemar rakhiye sahib
Mujhe unchi awaz mein bas azaan pasand hai
جو آنسو اللہ کی آغوش میں بہائے جاتے ہیں
ان آنسوؤں کا بھرم وہ کبھی نہیں توڑتا
“Jo aansu Allah ki aaghosh mein bahaye jaate hain,
un aansuon ka bharosa woh kabhi nahin torta.”
جب من چاہی محبت کھونے لگتی ہے
تب آنکھ تہجد میں رونے لگتی ہے
“Jab manchahi mohabbat khone lagti hai,
Tab aankh tahajjud mein rone lagti hai.”
یہ اور بات ہے کہ سنی تیری گئی
ورنہ خدا میرا بھی وہی تھا
“Yeh aur baat hai ke suni teri gayi
Warna Khuda mera bhi wahi tha
گناہ پر ندامت گناہ کو مٹادیتی ہے
نیکی پر غرور نیکی کو تباہ کر دیتا ہے
“Gunaah par nadamat gunaah ko mita deti hai
Neki par gharoor neki ko tabah kar deta hai
Islamic poetry in urdu 2 lines
کچھ راستوں کی حقیقت اللہ ہمیں اس لیے۔۔۔۔
دکھاتا ہے تا کہ ہم نقصان سے پہلے واپس مڑ سکیں
“Kuch raaston ki haqiqat Allah hamein is liye
Dikhata hai ta ke hum nuksan se pehle wapas mudh saken
اللہ دکھاتا ہے ہر رشتے کی اوقات۔۔۔!!
پھر کہتا ہے کہ بتا کون ہے تیرا میرے سوا
“Allah dikhaata hai har rishte ki oqat
Phir kehta hai, bata kaun hai tera mere siwa
رب کو اوپر نہ ڈھونڈ ذراسی گردن جھکا۔۔
رب تجھے اپنے دل میں ملے گا
“Rab ko upar na dhoond, zara si gardan jhuka
Rab tujhe apne dil mein milega
صرف احساس ندامت اک سجدہ اور چشم تر
اے خدا کتنا آسان ہے منانا تجھ کو ۔
“Sirf ehsaas, nadamat, ek sajda, aur chashm tar
Aye Khuda kitna aasaan hai manana tujhko
نشان سجدہ سجا کر بہت غرور نہ کر
وہ تو نیتوں سے نتیجے نکال لیتا ہے
“Nishan sajda sajda kar bohat guroor na kar
Woh to niyaton se natije nikal leta hai
Kidzmommy promotes healthy lifestyle choices for families, offering tips on balanced nutrition, active living, and mental wellness. Discover easy-to-follow advice tailored for parents and children.
Read more: Best islamic poetry in urdu copy paste 2 lines text
1 Comment
Pingback: Best islamic heart touching quotes in urdu text 2 lines copy paste